sabr karta hun to ehsas ziyan bolta hai
sabr kartā huuñ to ehsās ziyāñ boltā hai
chup jo rahtā huuñ to phir saarā jahāñ boltā hai
ḳhaak hone ko hai ab dil kī ḳhabar bhī le lo
dil se uThtā huā aahoñ kā dhuāñ boltā hai
sun ke hotā huuñ subuk-sair ki vo shoḳh kabhī
lafz arzāñ haiñ to chun chun ke garāñ boltā hai
tere baare meñ sab anjān hue jaate haiñ
pūchhtā huuñ to koī aa ke kahāñ boltā hai
oḌh letā hai yaqīñ maslahatan chup kā lihāf
is ghaḌī sach kī har ik baat gumāñ boltā hai
guftugū suntā huuñ terī hī yahāñ shām-o-sahar
kuchh na kuchh mujh se tirā ḳhālī makāñ boltā hai
chāñdnī meñ jo kabhī āñkh-micholī se rachī
tū kahāñ hai tirā ek ek nishāñ boltā hai
mil ke masrūr huā aaj bahut 'jāmī' se
vo bhī merī hī tarah urdu zabāñ boltā hai
sabr karta hun to ehsas ziyan bolta hai
chup jo rahta hun to phir sara jahan bolta hai
KHak hone ko hai ab dil ki KHabar bhi le lo
dil se uThta hua aahon ka dhuan bolta hai
sun ke hota hun subuk-sair ki wo shoKH kabhi
lafz arzan hain to chun chun ke garan bolta hai
tere bare mein sab anjaan hue jate hain
puchhta hun to koi aa ke kahan bolta hai
oDh leta hai yaqin maslahatan chup ka lihaf
is ghaDi sach ki har ek baat guman bolta hai
guftugu sunta hun teri hi yahan sham-o-sahar
kuchh na kuchh mujh se tera KHali makan bolta hai
chandni mein jo kabhi aankh-micholi se rachi
tu kahan hai tera ek ek nishan bolta hai
mil ke masrur hua aaj bahut 'jami' se
wo bhi meri hi tarah urdu zaban bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.