sabr ke dariya mein jab aa jaega
sabr ke dariyā meñ jab aa jā.egā
dil ġhamoñ se ḳhud ubhartā jā.egā
ham hue barbād gar to dekhnā
kuchh sabab tum se bhī pūchhā jā.egā
hashr ke din bhī hamārī ruuh ko
aap ke kūche meñ DhūñDā jā.egā
toḌ degā sab hadoñ ko ek din
bahte paanī ko jo rokā jā.egā
aaj ke pal kyuuñ bigāḌeñ fikr meñ
kal jo hogā kal hī sochā jā.egā
sabr ke dariya mein jab aa jaega
dil ghamon se KHud ubharta jaega
hum hue barbaad gar to dekhna
kuchh sabab tum se bhi puchha jaega
hashr ke din bhi hamari ruh ko
aap ke kuche mein DhunDa jaega
toD dega sab hadon ko ek din
bahte pani ko jo roka jaega
aaj ke pal kyun bigaDen fikr mein
kal jo hoga kal hi socha jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.