sabr wade pe na tha kaam tamannai ka
sabr va.ade pe na thā kaam tamannā.ī kā
hashr hai vasl kā din yā mirī rusvā.ī kā
hashr meñ kyā tujhe dekheñge azal ke bichhḌe
husn vo aur zamāna ye ḳhud-ārā.ī kā
abhī hairāñ abhī muztar abhī hushyār abhī mast
haal dekhā hī kare tere tamāshā.ī kā
uf tirā shauq meñ baḌhnā vo lipaT jaane ko
uf vo ā.īne meñ aalam tirī añgḌā.ī kā
mirī āñkhoñ se Tapak paḌte haiñ aañsū 'beḳhud'
naam letā hai agar koī shakebā.ī kā
sabr wade pe na tha kaam tamannai ka
hashr hai wasl ka din ya meri ruswai ka
hashr mein kya tujhe dekhenge azal ke bichhDe
husn wo aur zamana ye KHud-arai ka
abhi hairan abhi muztar abhi hushyar abhi mast
haal dekha hi kare tere tamashai ka
uf tera shauq mein baDhna wo lipaT jaane ko
uf wo aaine mein aalam teri angDai ka
meri aankhon se Tapak paDte hain aansu 'beKHud'
nam leta hai agar koi shakebai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.