sabz-baghon pe dosh dharte hue
sabz-bāġhoñ pe dosh dharte hue
sahl thā va.adoñ se mukarte hue
aa.ine ko aqab se dekhnā thā
sāmne se use sañvarte hue
kyā batā.ūñ jo dil pe guzrī hai
aaj muñh pher kar guzarte hue
saañs bāhar hī rok lī maiñ ne
ḳhālī siine meñ aah bharte hue
aañkh pighlī to jam gayā aañsū
jaane kyā yaad aaya marte hue
hoñT rakkhe the pahle hāthoñ par
aag chūmī thī Darte Darte hue
sar se chhat hī gañvā lī hai 'mahbūb'
sīḌhiyāñ chaḌhte aur utarte hue
sabz-baghon pe dosh dharte hue
sahl tha wadon se mukarte hue
aaine ko aqab se dekhna tha
samne se use sanwarte hue
kya bataun jo dil pe guzri hai
aaj munh pher kar guzarte hue
sans bahar hi rok li main ne
KHali sine mein aah bharte hue
aankh pighli to jam gaya aansu
jaane kya yaad aaya marte hue
honT rakkhe the pahle hathon par
aag chumi thi Darte Darte hue
sar se chhat hi ganwa li hai 'mahbub'
siDhiyan chaDhte aur utarte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.