sabz lahja kahan samajhta hai
sabz lahja kahāñ samajhtā hai
vo to apnī zabāñ samajhtā hai
zāviye raas aa ga.e us ko
dhuup ko sā.ebāñ samajhtā hai
rāste khul ga.e haiñ us pe magar
manziloñ ko dhuāñ samajhtā hai
kartā hai jald-bāziyāñ insāñ
sabr ko rā.egāñ samajhtā hai
maut kā chehra dekh kar bhī vaqt
ziist ko jāvedāñ samajhtā hai
sabz lahja kahan samajhta hai
wo to apni zaban samajhta hai
zawiye ras aa gae us ko
dhup ko saeban samajhta hai
raste khul gae hain us pe magar
manzilon ko dhuan samajhta hai
karta hai jald-baziyan insan
sabr ko raegan samajhta hai
maut ka chehra dekh kar bhi waqt
zist ko jawedan samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.