sabz mausam kī har adā bhejo
rang koī mujhe nayā bhejo
bhej do chāñd mere āñgan meñ
mujh ko tāroñ kī ik ridā bhejo
taaki ḳhushbū mujhe mayassar ho
mujh ko apnī koī qabā bhejo
mujh ko bhejo bhī aasrā koī
dil ke zaḳhmoñ kī tum davā bhejo
bhaa.e mujh ko na dūsrā koī
apnī tasvīr hī banā bhejo
ziist kī raah meñ añdherā hai
koī jaltā huā diyā bhejo
jī uThe phir se aaj 'gul' kā dil
haath qāsid ke ik duā bhejo
sabz mausam ki har ada bhejo
rang koi mujhe naya bhejo
bhej do chand mere aangan mein
mujh ko taron ki ek rida bhejo
taki KHushbu mujhe mayassar ho
mujh ko apni koi qaba bhejo
mujh ko bhejo bhi aasra koi
dil ke zaKHmon ki tum dawa bhejo
bhae mujh ko na dusra koi
apni taswir hi bana bhejo
zist ki rah mein andhera hai
koi jalta hua diya bhejo
ji uThe phir se aaj 'gul' ka dil
hath qasid ke ek dua bhejo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.