sabz-ruton mein rang-e-KHizani paDhte hain
sabz-rutoñ meñ rañg-e-ḳhizānī paḌhte haiñ
har chehre par ek kahānī paḌhte haiñ
naam nahīñ hai koī bhī darvāze par
taḳhtī par bas ek nishānī paḌhte haiñ
tishna-lab lahroñ ne kyā kyā likh Daalā
ḳhushk ret par paanī paanī paḌhte haiñ
nayā sabaq to yaad nahīñ hotā ham ko
jab paḌhte haiñ baat purānī paḌhte haiñ
jab koī mānūs sī ḳhushbū aatī hai
lams meñ us ke raat kī raanī paḌhte haiñ
fursat ke lamhoñ meñ ham aksar ai 'rind'
tahrīreñ jaanī pahchānī paḌhte haiñ
sabz-ruton mein rang-e-KHizani paDhte hain
har chehre par ek kahani paDhte hain
nam nahin hai koi bhi darwaze par
taKHti par bas ek nishani paDhte hain
tishna-lab lahron ne kya kya likh Dala
KHushk ret par pani pani paDhte hain
naya sabaq to yaad nahin hota hum ko
jab paDhte hain baat purani paDhte hain
jab koi manus si KHushbu aati hai
lams mein us ke raat ki rani paDhte hain
fursat ke lamhon mein hum aksar ai 'rind'
tahriren jaani pahchani paDhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.