sabza-e-KHat hai payambar ruKH hai quran-e-bahaar
sabza-e-ḳhat hai payambar ruḳh hai qur.ān-e-bahār
tū hai qibla tū hai ka.aba tū hai īmān-e-bahār
mere rone se huī fasl gulistān-e-bahār
ho gayā mīzāb-dīda miir sāmān-e-bahār
sarv ko jogī samajh kar faal khulvāne lagī
kyā ḳhizāñ meñ rahte haiñ bulbul ko armān-e-bahār
shāḳh-e-gul jumbish kahāñ karte haiñ matvāloñ kī tarah
bulbuloñ ke bose le lete haiñ mastān-e-bahār
hijr-e-be-ummīd-e-vaslat meñ koī jiinā bhī hai
bulbuloñ ke hote haiñ kuchh ahd-e-paimān-e-bahār
sarv ke misre ke ma.anī bulbuloñ se pūchh lo
andalīboñ se suno sharh-e-gulistān-e-bahār
zulf-e-gul ro ke gale mil kar jo aa.egī 'nasīm'
hogī sumbul af.ī-e-ganj-e-shahīdān-e-bahār
sabza-e-KHat hai payambar ruKH hai quran-e-bahaar
tu hai qibla tu hai kaba tu hai iman-e-bahaar
mere rone se hui fasl gulistan-e-bahaar
ho gaya mizab-dida mir saman-e-bahaar
sarw ko jogi samajh kar fal khulwane lagi
kya KHizan mein rahte hain bulbul ko arman-e-bahaar
shaKH-e-gul jumbish kahan karte hain matwalon ki tarah
bulbulon ke bose le lete hain mastan-e-bahaar
hijr-e-be-ummid-e-waslat mein koi jina bhi hai
bulbulon ke hote hain kuchh ahd-e-paiman-e-bahaar
sarw ke misre ke mani bulbulon se puchh lo
andalibon se suno sharh-e-gulistan-e-bahaar
zulf-e-gul ro ke gale mil kar jo aaegi 'nasim'
hogi sumbul afi-e-ganj-e-shahidan-e-bahaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.