sabza hawa se awwalin barsat mein khula
sabza havā se avvalīñ barsāt meñ khulā
vo shaḳhs mujh se pahlī mulāqāt meñ khulā
rūh-o-dil-o-badan ke taqāze sarāb the
ye bhī azaab kashmakash-e-zāt meñ khulā
saare badan pe zaḳhm numāyāñ the din chaḌhe
shab bhar rahā thā koī merī ghaat meñ khulā
miTne the saare rang dhanak ke nigāh se
tahrīr ye bhī dukh thā mire haat meñ khulā
kaisā vo dost thā ki khulī dushmanī bhī kī
ḳhanjar chhupā ke rakh diyā sauġhāt meñ khulā
aa.e to nā-murād na jaa.e havā-e-ġham
darvāza ham ne chhoḌ diyā raat meñ khulā
sabza hawa se awwalin barsat mein khula
wo shaKHs mujh se pahli mulaqat mein khula
ruh-o-dil-o-badan ke taqaze sarab the
ye bhi azab kashmakash-e-zat mein khula
sare badan pe zaKHm numayan the din chaDhe
shab bhar raha tha koi meri ghat mein khula
miTne the sare rang dhanak ke nigah se
tahrir ye bhi dukh tha mere hat mein khula
kaisa wo dost tha ki khuli dushmani bhi ki
KHanjar chhupa ke rakh diya saughat mein khula
aae to na-murad na jae hawa-e-gham
darwaza hum ne chhoD diya raat mein khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.