sach baat to ye hai jo maza pyar mein aaya
sach baat to ye hai jo mazā pyaar meñ aayā
us se kahīñ baḌh kar hameñ iz.hār meñ aayā
ab kaise use qaum kā ā.īna kahūñ maiñ
kab dard mirā surḳhi-e-aḳhbār meñ aayā
begānoñ tumheñ mil nahīñ saktā vo jahāñ meñ
ham ko jo mazā yaar ke dīdār meñ aayā
saḌkoñ pe mire ḳhuun ko bahne se bachāne
maiñ ḳhud hī kaTā sar liye darbār meñ aayā
taḳhlīq-e-ġhazal terī mohabbat kā asar hai
sochā bhī na thā maiñ ne jo iz.hār meñ aayā
'hādī' kahīñ tūfān kā vo ruup na dhāre
jo dard mire qalb se ash.ār meñ aayā
sach baat to ye hai jo maza pyar mein aaya
us se kahin baDh kar hamein izhaar mein aaya
ab kaise use qaum ka aaina kahun main
kab dard mera surKHi-e-aKHbar mein aaya
beganon tumhein mil nahin sakta wo jahan mein
hum ko jo maza yar ke didar mein aaya
saDkon pe mere KHun ko bahne se bachane
main KHud hi kaTa sar liye darbar mein aaya
taKHliq-e-ghazal teri mohabbat ka asar hai
socha bhi na tha main ne jo izhaar mein aaya
'hadi' kahin tufan ka wo rup na dhaare
jo dard mere qalb se ashaar mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.