sach bata kahe ka paikan ye tere tir mein tha
sach bata kahe ka paikan ye tere tir mein tha
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
sach batā kaahe kā paikāñ ye tire tiir meñ thā
jo maza aur hī zaḳhm-e-dil-e-dil-gīr meñ thā
aah is dil meñ ḳhudā jaane huā kyā varna
nāla-e-dil mirā Duubā huā tāsīr meñ thā
us kī tārīf karūñ maiñ ne kahāñ paa.ī zabāñ
ḳhūbī-o-lutf jo kuchh yaar kī taqrīr meñ thā
aah puurī abhī niklī hī na thī dil se ki yahāñ
dekhte kyā haiñ ki rauzan falak-e-pīr meñ thā
raat detā hī rahā dil ko mire pech pe pech
bal jo vo shoḳh tirī zulf-e-girah-gīr meñ thā
na diyā ġhusl isī vāste mujh ko pas-e-qatl
maiñ nahāyā huā āb-e-dam-e-shamshīr meñ thā
kyā balā shauq-e-shahādat thā ki thā hashr kā din
mujh ko vo arsa ki jo zab.h-o-takbīr meñ thā
the kal ash.ār sune ham ne sabhoñ ke lekin
sab se andāz anokhā ġhazal-e-'mīr' meñ thā
muzhda-e-vasl na pahuñchā thā tujhe 'aish' to phir
kyuuñ ifāqa tire kal rañg kī taġh.īr meñ thā
sach bata kahe ka paikan ye tere tir mein tha
jo maza aur hi zaKHm-e-dil-e-dil-gir mein tha
aah is dil mein KHuda jaane hua kya warna
nala-e-dil mera Duba hua tasir mein tha
us ki tarif karun main ne kahan pai zaban
KHubi-o-lutf jo kuchh yar ki taqrir mein tha
aah puri abhi nikli hi na thi dil se ki yahan
dekhte kya hain ki rauzan falak-e-pir mein tha
raat deta hi raha dil ko mere pech pe pech
bal jo wo shoKH teri zulf-e-girah-gir mein tha
na diya ghusl isi waste mujh ko pas-e-qatl
main nahaya hua aab-e-dam-e-shamshir mein tha
kya bala shauq-e-shahadat tha ki tha hashr ka din
mujh ko wo arsa ki jo zabh-o-takbir mein tha
the kal ashaar sune hum ne sabhon ke lekin
sab se andaz anokha ghazal-e-'mir' mein tha
muzhda-e-wasl na pahuncha tha tujhe 'aish' to phir
kyun ifaqa tere kal rang ki taghir mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.