sach batānā ki mere bin jānāñ
kaise kaTte haiñ tere din jānāñ
kis ke baazū pe ab chubhāogī
apne scarf kā vo pin jānāñ
ishq ke imtihāñ se guzrūñgā
parche hoñ jis qadar kaThin jānāñ
hukm par hukm nā-munāsib hai
terā āshiq nahīñ hai jin jānāñ
til kī ta.adād jānnī hai tujhe
muuñd le aañkh bose gin jānāñ
haath jab thaam hī liye us ke
phir ye bistar pe kaisā ghin jānāñ
sach batana ki mere bin jaanan
kaise kaTte hain tere din jaanan
kis ke bazu pe ab chubhaogi
apne scarf ka wo pin jaanan
ishq ke imtihan se guzrunga
parche hon jis qadar kaThin jaanan
hukm par hukm na-munasib hai
tera aashiq nahin hai jin jaanan
til ki tadad jaanni hai tujhe
mund le aankh bose gin jaanan
hath jab tham hi liye us ke
phir ye bistar pe kaisa ghin jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.