sach bolne ke jurm mein neze pe sar raha
sach bolne ke jurm meñ neze pe sar rahā
qātil ba-izz-o-jāh bhī nā-mo'tabar rahā
kyā bārish-e-balā thī ki sab kuchh bahā ga.ī
achchhā huā malang be-dīvār-o-dar rahā
yārab ḳhatā muaaf kahāñ DhūñDhtā tujhe
maiñ apnī hī talāsh meñ shām-o-sahar rahā
āzād ho chukā thā qafas se to kyā huā
uḌtā kahāñ parind jo be-bāl-o-par rahā
chāroñ dishā thī 'shams' amāvas khaḌī huī
bhīgā shajar udaas magar raat bhar rahā
sach bolne ke jurm mein neze pe sar raha
qatil ba-izz-o-jah bhi na-mo'tabar raha
kya barish-e-bala thi ki sab kuchh baha gai
achchha hua malang be-diwar-o-dar raha
yarab KHata muaf kahan DhunDhta tujhe
main apni hi talash mein sham-o-sahar raha
aazad ho chuka tha qafas se to kya hua
uDta kahan parind jo be-baal-o-par raha
chaaron disha thi 'shams' amawas khaDi hui
bhiga shajar udas magar raat bhar raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.