sach bolne wale ko hi ilzam milega
sach bolne vaale ko hī ilzām milegā
jo jhuuT kahegā use in.aam milegā
darbār meñ jo hāshiya-bardār rahe haiñ
sunte haiñ unheñ aaj baḌā kaam milegā
is dhuup meñ saa.e kī tamanna na karo tum
vo husn-e-mujassam to sar-e-shām milegā
dīdār kī hasrat hai to nazroñ ko uThāo
dekho vo hasīñ chehra lab-e-bām milegā
jin āñkhoñ ne gujrāt ke dekhe haiñ manāzir
tā-umr unheñ ab nahīñ ārām milegā
is shahr meñ 'āzam' jise tum DhūñD rahe ho
āvāra-sifat shā.ir-e-badnām milegā
sach bolne wale ko hi ilzam milega
jo jhuT kahega use inam milega
darbar mein jo hashiya-bardar rahe hain
sunte hain unhen aaj baDa kaam milega
is dhup mein sae ki tamanna na karo tum
wo husn-e-mujassam to sar-e-sham milega
didar ki hasrat hai to nazron ko uThao
dekho wo hasin chehra lab-e-baam milega
jin aankhon ne gujraat ke dekhe hain manazir
ta-umr unhen ab nahin aaram milega
is shahr mein 'azam' jise tum DhunD rahe ho
aawara-sifat shair-e-badnam milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.