sach hai hoga duniya mein koi hum sa kam tanha
sach hai hogā duniyā meñ koī ham sā kam tanhā
ham-nafas nafas tanhā ham-qadam qadam tanhā
dahr ā.ina-ḳhāna aur us meñ ham tanhā
dekhiye to ik mahfil vaise ek-dam tanhā
aarzū rifāqat kī aadmī kī fitrat hai
zindagī nahīñ kaTtī aap hoñ ki ham tanhā
zindagī kī rāhoñ meñ saath chhoḌne vaalo
kaash dekh lete tum chal ke do-qadam tanhā
sirf ye batānā hai sheva-e-vafā kyā hai
varna kaun sahtā hai itne ranj-o-ġham tanhā
sach hai hoga duniya mein koi hum sa kam tanha
ham-nafas nafas tanha ham-qadam qadam tanha
dahr aaina-KHana aur us mein hum tanha
dekhiye to ek mahfil waise ek-dam tanha
aarzu rifaqat ki aadmi ki fitrat hai
zindagi nahin kaTti aap hon ki hum tanha
zindagi ki rahon mein sath chhoDne walo
kash dekh lete tum chal ke do-qadam tanha
sirf ye batana hai shewa-e-wafa kya hai
warna kaun sahta hai itne ranj-o-gham tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.