sach hai ki aah-e-sard meri be-asar nahin
sach hai ki aah-e-sard meri be-asar nahin
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
sach hai ki āh-e-sard mirī be-asar nahīñ
patthar ko jhāḌiye to nikaltā sharar nahīñ
auroñ ko ho to ho hameñ marne se Dar nahīñ
ḳhat le ke ham hī jaate haiñ gar nāma-bar nahīñ
har-chand mujh meñ koī kamāl-o-hunar nahīñ
har charḳh-e-kīna-doz se maiñ be-ḳhatar nahīñ
uThtā qadam jo aage ko ab rāhbar nahīñ
pīchhe to chhoḌ aa.e kahīñ us kā ghar nahīñ
dil le ke de vo bosa ye hai muqtazā-e-sin
qīmat hai us kī kyā use ab tak ḳhabar nahīñ
be-iḳhtiyār rote haiñ paḌh paḌh ke marsiye
ulfat meñ terī gar ye mirā parda-dar nahīñ
arsh-e-barīñ pe jā ke rukeñ shauq ke qadam
'ārif' ye āshiyāna-e-ḳhairul-bashar nahīñ
sach hai ki aah-e-sard meri be-asar nahin
patthar ko jhaDiye to nikalta sharar nahin
auron ko ho to ho hamein marne se Dar nahin
KHat le ke hum hi jate hain gar nama-bar nahin
har-chand mujh mein koi kamal-o-hunar nahin
har charKH-e-kina-doz se main be-KHatar nahin
uThta qadam jo aage ko ab rahbar nahin
pichhe to chhoD aae kahin us ka ghar nahin
dil le ke de wo bosa ye hai muqtaza-e-sin
qimat hai us ki kya use ab tak KHabar nahin
be-iKHtiyar rote hain paDh paDh ke marsiye
ulfat mein teri gar ye mera parda-dar nahin
arsh-e-barin pe ja ke ruken shauq ke qadam
'arif' ye aashiyana-e-KHairul-bashar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.