sach hai ki apna ruKH bhi badalna paDa mujhe
sach hai ki apnā ruḳh bhī badalnā paḌā mujhe
maiñ qāfile ke saath thā chalnā paḌā mujhe
be-vaj.h dil ko thī na.e manzar kī justujū
be-nām mausamoñ se bahalnā paḌā mujhe
kuchh mere kaam aa na sakī vaz-e-ehtiyāt
sho.aloñ se duur rah ke bhī chalnā paḌā mujhe
dast-e-talab darāz to sadiyoñ se hai magar
kuchh baat thī ki aaj machalnā paḌā mujhe
kitnā baḌā hujūm thā mere liye 'shamīm'
kis ḳhāmushī ke saath nikalnā paḌā mujhe
sach hai ki apna ruKH bhi badalna paDa mujhe
main qafile ke sath tha chalna paDa mujhe
be-wajh dil ko thi nae manzar ki justuju
be-nam mausamon se bahalna paDa mujhe
kuchh mere kaam aa na saki waz-e-ehtiyat
shoalon se dur rah ke bhi chalna paDa mujhe
dast-e-talab daraaz to sadiyon se hai magar
kuchh baat thi ki aaj machalna paDa mujhe
kitna baDa hujum tha mere liye 'shamim'
kis KHamushi ke sath nikalna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.