sach hai ki is bahaar ke aage ye kuchh nahin
sach hai ki is bahaar ke aage ye kuchh nahin
Kashif Adeeb Makanpuri
MORE BYKashif Adeeb Makanpuri
sach hai ki is bahār ke aage ye kuchh nahīñ
lekin hamāre pyaar ke aage ye kuchh nahīñ
mai kā ḳhumār Thiik hai apnī jagah magar
tere diye ḳhumār ke aage ye kuchh nahīñ
shāhoñ ke taaj vāqa.ī behad hasīn haiñ
lekin jamāl-e-yār ke aage ye kuchh nahīñ
chāhe jahāñ kare na kare mujh pe e'tibār
ik tere e'tibār ke aage ye kuchh nahīñ
majbūriyāñ hamārī hoñ rusvā.ī kā sabab
haañ tere iḳhtiyār ke aage ye kuchh nahīñ
kaliyāñ bahār phuul chaman aur vādiyāñ
mahbūb ke dayār ke aage ye kuchh nahīñ
jitnā bhī apne sar ko uThā.eñ ye nafrateñ
'kāshif' 'adīb' pyaar ke aage ye kuchh nahīñ
sach hai ki is bahaar ke aage ye kuchh nahin
lekin hamare pyar ke aage ye kuchh nahin
mai ka KHumar Thik hai apni jagah magar
tere diye KHumar ke aage ye kuchh nahin
shahon ke taj waqai behad hasin hain
lekin jamal-e-yar ke aage ye kuchh nahin
chahe jahan kare na kare mujh pe e'tibar
ek tere e'tibar ke aage ye kuchh nahin
majburiyan hamari hon ruswai ka sabab
han tere iKHtiyar ke aage ye kuchh nahin
kaliyan bahaar phul chaman aur wadiyan
mahbub ke dayar ke aage ye kuchh nahin
jitna bhi apne sar ko uThaen ye nafraten
'kashif' 'adib' pyar ke aage ye kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.