sach hai ki mera dard kisi par ayan nahin
sach hai ki merā dard kisī par ayaañ nahīñ
lekin ye aag aisī hai jis kā dhuāñ nahīñ
aao ki is fazā meñ koī guftugū kareñ
dīvār maslahat kī yahāñ darmiyāñ nahīñ
ḳhud ko buland itnā samajhne lagā hai vo
goyā ki us ke sar pe koī āsmāñ nahīñ
ai ġham tirā asar abhī mujh par huā kahāñ
āñkhoñ se merī ḳhuun kā dariyā ravāñ nahīñ
puurā utarnā shart hai ḳhud kī nigāh meñ
is imtihāñ ke baad koī imtihāñ nahīñ
mere vatan kā mukhḌā bhī is se huā ḳharāb
fitna fasād dahr meñ dekho kahāñ nahīñ
logoñ kī zehniyat kā mujhe ilm hai 'nazar'
is ahd kā mizāj bhī mujh se nihāñ nahīñ
sach hai ki mera dard kisi par ayan nahin
lekin ye aag aisi hai jis ka dhuan nahin
aao ki is faza mein koi guftugu karen
diwar maslahat ki yahan darmiyan nahin
KHud ko buland itna samajhne laga hai wo
goya ki us ke sar pe koi aasman nahin
ai gham tera asar abhi mujh par hua kahan
aankhon se meri KHun ka dariya rawan nahin
pura utarna shart hai KHud ki nigah mein
is imtihan ke baad koi imtihan nahin
mere watan ka mukhDa bhi is se hua KHarab
fitna fasad dahr mein dekho kahan nahin
logon ki zehniyat ka mujhe ilm hai 'nazar'
is ahd ka mizaj bhi mujh se nihan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.