sach hai tumko mila nahin hun main
sach hai tum ko milā nahīñ huuñ maiñ
haañ magar gum-shuda nahīñ huuñ maiñ
mujh se kuchh ġhaltiyāñ to hoñgī hī
aadmī huuñ ḳhudā nahīñ huuñ maiñ
aap ko bhuul hī nahīñ paayā
kyā karūñ aap sā nahīñ huuñ maiñ
is zamāna ke rang haiñ mujh par
varna itnā burā nahīñ huuñ maiñ
sun rahā huuñ maiñ terī ḳhāmoshī
dil dukhā hai marā nahīñ huuñ maiñ
sach hai tum ko mila nahin hun main
han magar gum-shuda nahin hun main
mujh se kuchh ghaltiyan to hongi hi
aadmi hun KHuda nahin hun main
aap ko bhul hi nahin paya
kya karun aap sa nahin hun main
is zamana ke rang hain mujh par
warna itna bura nahin hun main
sun raha hun main teri KHamoshi
dil dukha hai mara nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.