sach hi likha tha ek insan ne jis din kaljug aaega
sach hī likhā thā ik insān ne jis din kaljug aa.egā
luule lañgḌe raaj kareñge andhā raah dikhā.egā
dharm kā kahnā jo koī bhī mānegā sachche dil se
ham se pyaar karegā vo hī sab kā dukh apnā.egā
chor-uchakke ġhunDe-luchche jo mandir meñ baiThe haiñ
un se kyūñkar dharm karam kā kaam koī ho pā.egā
dukh se pīḌit fikr se ghāyal jab saarī mānavtā hai
phir kyoñ koī antarman se ḳhush ho kar hañs pā.egā
log qayāmat kī tayyārī bhūke rah kar karte haiñ
kis ko pata thā insān itnā mūrakh bhī ho jā.egā
raat añdherī bādal garje bijlī chamkī meñh paḌe
phir kyā bhayānak tūfāñ se ye jag saarā bah jā.egā
sach hi likha tha ek insan ne jis din kaljug aaega
lule langDe raj karenge andha rah dikhaega
dharm ka kahna jo koi bhi manega sachche dil se
hum se pyar karega wo hi sab ka dukh apnaega
chor-uchakke ghunDe-luchche jo mandir mein baiThe hain
un se kyunkar dharm karam ka kaam koi ho paega
dukh se piDit fikr se ghayal jab sari manawta hai
phir kyon koi antarman se KHush ho kar hans paega
log qayamat ki tayyari bhuke rah kar karte hain
kis ko pata tha insan itna murakh bhi ho jaega
raat andheri baadal garje bijli chamki meinh paDe
phir kya bhayanak tufan se ye jag sara bah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.