sach kahne ka aaKHir ye anjam hua
sach kahne kā āḳhir ye anjām huā
saarī bastī meñ maiñ hī badnām huā
qatl kā mujrim rishvat de kar chhūT gayā
qismat dekho mere sar ilzām huā
mere ġham par vo aksar hañs detā hai
ye to ġham kā ġhair munāsib daam huā
zaḳhm yahāñ to vaise kā vaisā hī hai
tum batlāo tum ko kuchh ārām huā
tanhā.ī ne jab se qaid kiyā mujh ko
bāhar aane meñ tab se nākām huā
roz masā.il ghere haiñ mujh ko to ab
soch rahā huuñ gardish-e-ayyām huā
aḳhbāroñ meñ ḳhud ko paḌhte sochūñ huuñ
'mīt' yahāñ par merā bhī kuchh naam huā
sach kahne ka aaKHir ye anjam hua
sari basti mein main hi badnam hua
qatl ka mujrim rishwat de kar chhuT gaya
qismat dekho mere sar ilzam hua
mere gham par wo aksar hans deta hai
ye to gham ka ghair munasib dam hua
zaKHm yahan to waise ka waisa hi hai
tum batlao tum ko kuchh aaram hua
tanhai ne jab se qaid kiya mujh ko
bahar aane mein tab se nakaam hua
roz masail ghere hain mujh ko to ab
soch raha hun gardish-e-ayyam hua
aKHbaron mein KHud ko paDhte sochun hun
'mit' yahan par mera bhi kuchh nam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.