sach kaho kis ne liya dil ki jo paya na gaya
sach kaho kis ne liya dil ki jo paya na gaya
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
sach kaho kis ne liyā dil ki jo paayā na gayā
yaañ hamīñ tum haiñ koī aur na aaya na gayā
dil meñ thī aag lagī dīda-e-tar ko dekho
ghar jalā paas kā aur us se bujhāyā na gayā
din ye furqat kā baḌhā chaar pahar saa.at bhar
pā-e-dīvār se haT kar kahīñ saayā na gayā
dil taḌaptā rahā phir zo.af ke baa.is mujh se
zabt kā apne bhī ehsān uThāyā na gayā
dil mirā mar ke rahā aaTh pahar pahlū meñ
haa.e muhtāj kā murda thā uThāyā na gayā
va.ada kar kar ke jagāyā mujhe rātoñ ko magar
merī sotī huī qismat ko jagāyā na gayā
yā to ye shauq thā haal un ko sunā.ūñ jo mileñ
vaa.e qismat jo mile vo to sunāyā na gayā
ġhair jab ho gayā nārāz manāne ko ga.e
ek din ruuTh gayā maiñ to manāyā na gayā
bazm se us kī chale aao jo bigḌā vo but
baiThne ko koī fiqra bhī banāyā na gayā
mere marne kī ḳhabar sun ke bhalā kyā aate
un se ik baar ayādat ko bhī aaya na gayā
un kī mehñdī kī rahī ḳhuub jamālī rangat
ham se to rang bhī mahfil meñ jamāyā na gayā
miT ga.e sang-e-dar-e-yār pe ghis ghis ke jabīñ
apnī taqdīr ke likkhe ko miTāyā na gayā
donoñ majbūr rahe zo.af-o-nazākat ke sabab
ham vahāñ jā na sake yaar se aaya na gayā
duur baiThā huā bhī ham ko na vo dekh sake
bazm meñ ġhair ko pahlū se uThāyā na gayā
is nazākat pe na kyoñ jaan ko qurbāñ kar duuñ
ki gale par mire ḳhanjar bhī phirāyā na gayā
ek shab arsh pe mahbūb ko bulvā hī liyā
hijr vo ġham hai ḳhudā se bhī uThāyā na gayā
'bazm' tāqat ye ghaTī hijr kī shab aah jo kī
dil se lab tak ka.ī Thekoñ meñ bhī aaya na gayā
sach kaho kis ne liya dil ki jo paya na gaya
yan hamin tum hain koi aur na aaya na gaya
dil mein thi aag lagi dida-e-tar ko dekho
ghar jala pas ka aur us se bujhaya na gaya
din ye furqat ka baDha chaar pahar saat bhar
pa-e-diwar se haT kar kahin saya na gaya
dil taDapta raha phir zoaf ke bais mujh se
zabt ka apne bhi ehsan uThaya na gaya
dil mera mar ke raha aaTh pahar pahlu mein
hae muhtaj ka murda tha uThaya na gaya
wada kar kar ke jagaya mujhe raaton ko magar
meri soti hui qismat ko jagaya na gaya
ya to ye shauq tha haal un ko sunaun jo milen
wae qismat jo mile wo to sunaya na gaya
ghair jab ho gaya naraaz manane ko gae
ek din ruTh gaya main to manaya na gaya
bazm se us ki chale aao jo bigDa wo but
baiThne ko koi fiqra bhi banaya na gaya
mere marne ki KHabar sun ke bhala kya aate
un se ek bar ayaadat ko bhi aaya na gaya
un ki mehndi ki rahi KHub jamali rangat
hum se to rang bhi mahfil mein jamaya na gaya
miT gae sang-e-dar-e-yar pe ghis ghis ke jabin
apni taqdir ke likkhe ko miTaya na gaya
donon majbur rahe zoaf-o-nazakat ke sabab
hum wahan ja na sake yar se aaya na gaya
dur baiTha hua bhi hum ko na wo dekh sake
bazm mein ghair ko pahlu se uThaya na gaya
is nazakat pe na kyon jaan ko qurban kar dun
ki gale par mere KHanjar bhi phiraya na gaya
ek shab arsh pe mahbub ko bulwa hi liya
hijr wo gham hai KHuda se bhi uThaya na gaya
'bazm' taqat ye ghaTi hijr ki shab aah jo ki
dil se lab tak kai Thekon mein bhi aaya na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.