sach ke auraq pe jhuTon ki kahani likh kar
sach ke aurāq pe jhūToñ kī kahānī likh kar
log haiñ shaad sarāboñ ko bhī paanī likh kar
kyā kahūñ ḳhud ko abhī tak na samajh paa.ī maiñ
us ne jānāñ bhī likhā dushman-e-jānī likh kar
ḳhema-e-sabr lagā.e ye mohabbat ke safīr
raat bhar rote rahe tishna-dahānī likh kar
dekhnā phir yahāñ sailāb umaD aa.egā
chāhe to dekh le ashkoñ kī ravānī likh kar
jo ga.e vaqt meñ ḳhush-hāl batātā thā hameñ
aaj baiThā hai vahī ġham kī divānī likh kar
zikr aaya jo mohabbat kā sar-e-bazm 'hirā'
lauT aa.ī maiñ vahāñ dard kā saanī likh kar
sach ke auraq pe jhuTon ki kahani likh kar
log hain shad sarabon ko bhi pani likh kar
kya kahun KHud ko abhi tak na samajh pai main
us ne jaanan bhi likha dushman-e-jaani likh kar
KHema-e-sabr lagae ye mohabbat ke safir
raat bhar rote rahe tishna-dahani likh kar
dekhna phir yahan sailab umaD aaega
chahe to dekh le ashkon ki rawani likh kar
jo gae waqt mein KHush-haal batata tha hamein
aaj baiTha hai wahi gham ki diwani likh kar
zikr aaya jo mohabbat ka sar-e-bazm 'hira'
lauT aai main wahan dard ka sani likh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.