sach ke chehre par ujala jhuT ka
sach ke chehre par ujālā jhuuT kā
daur hai kaisā nirālā jhuuT kā
mahfileñ ārāsta haiñ jhuuT kī
ho rahā hai bol-bālā jhuuT kā
hazm hotā hī nahīñ us ko kabhī
jo bhī khātā hai nivāla jhuuT kā
ho ga.ī tash.hīr kitnī jhuuT kī
shaan se niklā risāla jhuuT kā
jis se bhī māñgo kabhī sach kī dalīl
vo hī detā hai havāla jhuuT kā
'faiz' sach kī ham kareñge rahbarī
ham nikāleñge dīvāla jhuuT kā
sach ke chehre par ujala jhuT ka
daur hai kaisa nirala jhuT ka
mahfilen aarasta hain jhuT ki
ho raha hai bol-baala jhuT ka
hazm hota hi nahin us ko kabhi
jo bhi khata hai niwala jhuT ka
ho gai tashhir kitni jhuT ki
shan se nikla risala jhuT ka
jis se bhi mango kabhi sach ki dalil
wo hi deta hai hawala jhuT ka
'faiz' sach ki hum karenge rahbari
hum nikalenge diwala jhuT ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.