sach ke izhaar ka sheron ko bahana jaana
sach ke iz.hār kā she'roñ ko bahāna jaanā
bach rahe yuuñ ki zamāne ne fasāna jaanā
saḳht mā'tūb rahe aur ḳhatā itnī thī
jo ḳhudā na thā use ham ne ḳhudā na jaanā
is qadar bhī na jarī the ki ulajhte sab se
shor-e-shab-ḳhūñ ko magar bāñg-e-darā na jaanā
ab ke ilzām lagā ham pe khulī āñkhoñ kā
jo nazar aayā use us se sivā na jaanā
kam hī milte ho magar ye hai yaqīñ kā 'ālam
ham ne pal-bhar ko tumheñ ḳhud se judā na jaanā
maiñ vo nā-shukr ki har baar mulāqāt ke baa'd
maiñ ne har lamha-e-furqat ko zamāna jaanā
rahm khāte haiñ mire haal pe ahl-e-duniyā
maiñ ne īmān ko duniyā meñ ḳhazāna jaanā
sach ke izhaar ka she'ron ko bahana jaana
bach rahe yun ki zamane ne fasana jaana
saKHt ma'tub rahe aur KHata itni thi
jo KHuda na tha use hum ne KHuda na jaana
is qadar bhi na jari the ki ulajhte sab se
shor-e-shab-KHun ko magar bang-e-dara na jaana
ab ke ilzam laga hum pe khuli aankhon ka
jo nazar aaya use us se siwa na jaana
kam hi milte ho magar ye hai yaqin ka 'alam
hum ne pal-bhar ko tumhein KHud se juda na jaana
main wo na-shukr ki har bar mulaqat ke ba'd
main ne har lamha-e-furqat ko zamana jaana
rahm khate hain mere haal pe ahl-e-duniya
main ne iman ko duniya mein KHazana jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.