sach ki hiddat se mat bah jae
sach kī hiddat se maat bah jaa.e
jhuuT taḌpe jihāt bah jaa.e
maiñ nichoḌūñ jo apnī āñkhoñ ko
yaar ye kā.enāt bah jaa.e
ishq jab ho sin-e-bulūġhat par
Dar se hī somnāt bah jaa.e
mere itnā qarīb aa jaao
ek duuje meñ zaat bah jaa.e
haath rakhnā yuuñ mere dil par tum
dil kā saarā sabāt bah jaa.e
dekh kar chāñd sā hasīñ chehra
noch le ḳhud ko raat bah jaa.e
zaḳhm huuñ chashm-dāsht ke 'azfar'
ḳhāmushī se hayāt bah jaa.e
sach ki hiddat se mat bah jae
jhuT taDpe jihat bah jae
main nichoDun jo apni aankhon ko
yar ye kaenat bah jae
ishq jab ho sin-e-bulughat par
Dar se hi somnat bah jae
mere itna qarib aa jao
ek duje mein zat bah jae
hath rakhna yun mere dil par tum
dil ka sara sabaat bah jae
dekh kar chand sa hasin chehra
noch le KHud ko raat bah jae
zaKHm hun chashm-dasht ke 'azfar'
KHamushi se hayat bah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.