sach ko kahne ka hausla hai mujhe
sach ko kahne kā hausla hai mujhe
apne anjām kā pata hai mujhe
niiñd se ḳhvāb ho ga.e ruḳhsat
zindagī jaise ik sazā hai mujhe
us ne raġhbat se haath khīñch liyā
ab kahāñ koī sochtā hai mujhe
dostī kā bharam hī toḌ diyā
in dinoñ jaane kyā huā hai mujhe
jis kī nīñdoñ meñ ḳhvāb mere the
jab se jaagā hai DhūñDtā hai mujhe
chand jalte savāl bujhtā dil
zindagī tū ne kyā diyā hai mujhe
saare rishte jab us ne toḌ liye
muḌ ke ab kyā pukārtā hai mujhe
ab huuñ bujhte diye sā sūraj thā
in havāloñ ko sochnā hai mujhe
kyuuñ 'tapish' uljhanoñ meñ uljhā hai
is ke baare meñ jānñā hai mujhe
sach ko kahne ka hausla hai mujhe
apne anjam ka pata hai mujhe
nind se KHwab ho gae ruKHsat
zindagi jaise ek saza hai mujhe
us ne raghbat se hath khinch liya
ab kahan koi sochta hai mujhe
dosti ka bharam hi toD diya
in dinon jaane kya hua hai mujhe
jis ki nindon mein KHwab mere the
jab se jaga hai DhunDta hai mujhe
chand jalte sawal bujhta dil
zindagi tu ne kya diya hai mujhe
sare rishte jab us ne toD liye
muD ke ab kya pukarta hai mujhe
ab hun bujhte diye sa suraj tha
in hawalon ko sochna hai mujhe
kyun 'tapish' uljhanon mein uljha hai
is ke bare mein jaanna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.