Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sach ko kahne ka hausla hai mujhe

Moni Gopal Tapish

sach ko kahne ka hausla hai mujhe

Moni Gopal Tapish

MORE BYMoni Gopal Tapish

    sach ko kahne hausla hai mujhe

    apne anjām pata hai mujhe

    niiñd se ḳhvāb ho ga.e ruḳhsat

    zindagī jaise ik sazā hai mujhe

    us ne raġhbat se haath khīñch liyā

    ab kahāñ koī sochtā hai mujhe

    dostī bharam toḌ diyā

    in dinoñ jaane kyā huā hai mujhe

    jis nīñdoñ meñ ḳhvāb mere the

    jab se jaagā hai DhūñDhtā hai mujhe

    chand jalte savāl bujhtā dil

    zindagī ne kyā diyā hai mujhe

    saare rishte jab us ne toḌ liye

    muḌ ke ab kyā pukārtā hai mujhe

    ab huuñ bujhte diye sūraj thā

    in havāloñ ko sochnā hai mujhe

    kyuuñ 'tapish' uljhanoñ meñ uljhā hai

    is ke baare meñ jānñā hai mujhe

    sach ko kahne ka hausla hai mujhe

    apne anjam ka pata hai mujhe

    nind se KHwab ho gae ruKHsat

    zindagi jaise ek saza hai mujhe

    us ne raghbat se hath khinch liya

    ab kahan koi sochta hai mujhe

    dosti ka bharam hi toD diya

    in dinon jaane kya hua hai mujhe

    jis ki nindon mein KHwab mere the

    jab se jaga hai DhunDhta hai mujhe

    chand jalte sawal bujhta dil

    zindagi tu ne kya diya hai mujhe

    sare rishte jab us ne toD liye

    muD ke ab kya pukarta hai mujhe

    ab hun bujhte diye sa suraj tha

    in hawalon ko sochna hai mujhe

    kyun 'tapish' uljhanon mein uljha hai

    is ke bare mein jaanna hai mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now