sach pe hi sabit-qadam Thahri thi main
sach pe hī sābit-qadam Thahrī thī maiñ
aur jhūTī baat par rūThī thī maiñ
der se aamad kī hī sun kar naved
aap kī tasvīr se uljhī thī maiñ
tujh se mil kar baḌh ga.ī vaq.at mirī
varna pahle ḳhud ko kab samjhī thī maiñ
tū ne paḌh kar kar diyā mujh ko ġhazal
varna harf-e-mohmila jaisī thī maiñ
kar diyā 'zaryāb' ne shāhīñ mujhe
shā.irī ke baaġh kī titlī thī maiñ
sach pe hi sabit-qadam Thahri thi main
aur jhuTi baat par ruThi thi main
der se aamad ki hi sun kar nawed
aap ki taswir se uljhi thi main
tujh se mil kar baDh gai waqat meri
warna pahle KHud ko kab samjhi thi main
tu ne paDh kar kar diya mujh ko ghazal
warna harf-e-mohmila jaisi thi main
kar diya 'zaryab' ne shahin mujhe
shairi ke bagh ki titli thi main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.