sach se milta-julta bol
sach se miltā-jultā bol
jhuuT meñ kuchh to sachchā bol
yā to āñkhoñ dekhā bol
yā āñkhoñ kā dhokā bol
ye vo aise vaise kyā
jitnā pūchhūñ utnā bol
itnā sab kuchh kahne meñ
jo tū kah nahīñ paayā bol
thak jaa.eñ saarī āvāz
apnī chup se itnā bol
ḳhāmoshī kī fauj ke saath
āvāzoñ pe hallā bol
sach se milta-julta bol
jhuT mein kuchh to sachcha bol
ya to aankhon dekha bol
ya aankhon ka dhoka bol
ye wo aise waise kya
jitna puchhun utna bol
itna sab kuchh kahne mein
jo tu kah nahin paya bol
thak jaen sari aawaz
apni chup se itna bol
KHamoshi ki fauj ke sath
aawazon pe halla bol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.