sach to baiTh ke khata hai
sach to baiTh ke khātā hai
jhūTh kamā kar laatā hai
yaad bhī koī aatā hai
yaad to rakkhā jaatā hai
jaise lafz hoñ vaisā hī
muñh kā maza ho jaatā hai
phir dushman baḌh jā.eñge
kis ko dost banātā hai
kaisī ḳhushk havā.eñ haiñ
sub.h se din chaḌh jaatā hai
use ghaTā kar duniyā meñ
baaqī kyā rah jaatā hai
jaane vo is chehre par
kis kā dhoka khātā hai
ishq se baḌh kar kaun hameñ
duniyā-dār banātā hai
dil jaisā ma.asūm bhī aaj
apnī aql chalātā hai
kuchh to hai jo sirf yahāñ
merī samajh meñ aatā hai
mushkil sun lī jaatī hai
koī karam farmātā hai
sach to baiTh ke khata hai
jhuTh kama kar lata hai
yaad bhi koi aata hai
yaad to rakkha jata hai
jaise lafz hon waisa hi
munh ka maza ho jata hai
phir dushman baDh jaenge
kis ko dost banata hai
kaisi KHushk hawaen hain
subh se din chaDh jata hai
use ghaTa kar duniya mein
baqi kya rah jata hai
jaane wo is chehre par
kis ka dhoka khata hai
ishq se baDh kar kaun hamein
duniya-dar banata hai
dil jaisa masum bhi aaj
apni aql chalata hai
kuchh to hai jo sirf yahan
meri samajh mein aata hai
mushkil sun li jati hai
koi karam farmata hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 98)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.