sach zabanon par ho to shanon pe sar rahte nahin
sach zabanon par ho to shanon pe sar rahte nahin
Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
sach zabānoñ par ho to shānoñ pe sar rahte nahīñ
pattharoñ ke shahr meñ shīshe ke ghar rahte nahīñ
chhoḌ kar mujh ko chalā hai to patā hogā use
reg-zāroñ meñ kabhī nāzuk shajar rahte nahīñ
chand lamhoñ ke liye milnā hai bas un kā nasīb
der tak shab aur sūraj ham-safar rahte nahīñ
koī kitnā bhī ho pyārā ho hī jaatā hai judā
zaḳhm jitne bhī hoñ gahre 'umr bhar rahte nahīñ
us kī āñdhī kī tarah fitrat baḌī pur-josh thī
aise mausam meñ diye hoñ yā sharar rahte nahīñ
yā to ho jaao mire yā chhoḌ do merā ḳhayāl
darmiyāne se marāsim mo'atabar rahte nahīñ
toḌ lenā shāḳh se ḳhud un ko behtar hai 'na'īm'
der tak pak kar daraḳhtoñ par samar rahte nahīñ
sach zabanon par ho to shanon pe sar rahte nahin
pattharon ke shahr mein shishe ke ghar rahte nahin
chhoD kar mujh ko chala hai to pata hoga use
reg-zaron mein kabhi nazuk shajar rahte nahin
chand lamhon ke liye milna hai bas un ka nasib
der tak shab aur suraj ham-safar rahte nahin
koi kitna bhi ho pyara ho hi jata hai juda
zaKHm jitne bhi hon gahre 'umr bhar rahte nahin
us ki aandhi ki tarah fitrat baDi pur-josh thi
aise mausam mein diye hon ya sharar rahte nahin
ya to ho jao mere ya chhoD do mera KHayal
darmiyane se marasim mo'atabar rahte nahin
toD lena shaKH se KHud un ko behtar hai 'na'im'
der tak pak kar daraKHton par samar rahte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.