sachcha bana diya kabhi jhuTa bana diya
sachcha bana diya kabhi jhuTa bana diya
Mohammad Ismail Shadan
MORE BYMohammad Ismail Shadan
sachchā banā diyā kabhī jhūTā banā diyā
us bevafā ne mujh ko jo chāhā banā diyā
us kohkan ko ahl-e-junūñ meñ karo shumār
jis ne pahāḌ kaaT ke rasta banā diyā
zālim ne har maqām pe rusvā kiyā mujhe
merī vafā ko us ne tamāshā banā diyā
bas dekhte hī dekhte bād-e-sumūm ne
shabnam ko ret phuul ko kāñTā banā diyā
husn-e-karishma-sāz kā ye bhī kamāl dekh
patthar ko chhū ke haath se laala banā diyā
qadd-āvarī pe naaz jo kartā thā kal talak
dekh aaj us ko vaqt ne baunā banā diyā
'shādāñ' ye us kī zaat se shikva fuzūl hai
aisā banā diyā mujhe vaisā banā diyā
sachcha bana diya kabhi jhuTa bana diya
us bewafa ne mujh ko jo chaha bana diya
us kohkan ko ahl-e-junun mein karo shumar
jis ne pahaD kaT ke rasta bana diya
zalim ne har maqam pe ruswa kiya mujhe
meri wafa ko us ne tamasha bana diya
bas dekhte hi dekhte baad-e-sumum ne
shabnam ko ret phul ko kanTa bana diya
husn-e-karishma-saz ka ye bhi kamal dekh
patthar ko chhu ke hath se lala bana diya
qadd-awari pe naz jo karta tha kal talak
dekh aaj us ko waqt ne bauna bana diya
'shadan' ye us ki zat se shikwa fuzul hai
aisa bana diya mujhe waisa bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.