sachchai kabhi apni safai nahin deti
sachchā.ī kabhī apnī safā.ī nahīñ detī
mahsūs to hotī hai dikhā.ī nahīñ detī
mazlūmoñ kī fariyād pe larzāñ hai falak tak
aur ahl-e-siyāsat ko sunā.ī nahīñ detī
yuuñ zulm-o-tashaddud ke añdhere haiñ ki tauba
jiine kī koī raah dikhā.ī nahīñ detī
hañs hañs ke sitam fāqoñ ke sah letī hai lekin
ḳhud.dār ġharībī to duhā.ī nahīñ detī
dil sāgar-e-afkār meñ Duubā ho to 'ālam'
kānoñ ko maza naġhma-sarā.ī nahīñ detī
sachchai kabhi apni safai nahin deti
mahsus to hoti hai dikhai nahin deti
mazlumon ki fariyaad pe larzan hai falak tak
aur ahl-e-siyasat ko sunai nahin deti
yun zulm-o-tashaddud ke andhere hain ki tauba
jine ki koi rah dikhai nahin deti
hans hans ke sitam faqon ke sah leti hai lekin
KHuddar gharibi to duhai nahin deti
dil sagar-e-afkar mein Duba ho to 'alam'
kanon ko maza naghma-sarai nahin deti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.