sachchai ki talKHi hai hum sada-bayanon mein
sachchā.ī kī talḳhī hai ham sāda-bayānoñ meñ
patthar kī haiñ buniyādeñ shīshe ke makānoñ meñ
jo chāho vo le jaao ehsās kī nagrī se
ḳhushiyāñ bhī haiñ aañsū bhī āñkhoñ kī dūkānoñ meñ
tum diip mohabbat ke palkoñ pe sajā lenā
baT jaa.e na ye duniyā tafrīq ke ḳhānoñ meñ
ye be-sar-o-sāmānī naḳhchīr bhī hañste haiñ
kuchh tiir na.e joḌo bosīda kamānoñ meñ
ham ahl-e-suḳhan daur-e-hāzir kī numā.ish meñ
har 'aib chhupā jaa.eñ sangīt kī tānoñ meñ
is rāh-e-mohabbat se 'jāved' gurez achchhā
Takrāoge bhaTkoge sunsān chaTānoñ meñ
sachchai ki talKHi hai hum sada-bayanon mein
patthar ki hain buniyaaden shishe ke makanon mein
jo chaho wo le jao ehsas ki nagri se
KHushiyan bhi hain aansu bhi aankhon ki dukanon mein
tum dip mohabbat ke palkon pe saja lena
baT jae na ye duniya tafriq ke KHanon mein
ye be-sar-o-samani naKHchir bhi hanste hain
kuchh tir nae joDo bosida kamanon mein
hum ahl-e-suKHan daur-e-hazir ki numaish mein
har 'aib chhupa jaen sangit ki tanon mein
is rah-e-mohabbat se 'jawed' gurez achchha
Takraoge bhaTkoge sunsan chaTanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.