sachchaiyon ko bar-sar-e-paikar chhoD kar
sachchā.iyoñ ko bar-sar-e-paikār chhoḌ kar
ham aa ga.e haiñ dasht meñ ghar-bār chhoḌ kar
āñkhoñ meñ jāgte hue ḳhvāboñ kā kyā kareñ
nīñdeñ chalī ga.iiñ hameñ bedār chhoḌ kar
ham be-ḳhudī meñ kaun sī manzil pe aa ga.e
Thahrā huā hai vaqt bhī raftār chhoḌ kar
sāhil kise batā.e yahāñ apne dil kā dard
maujeñ chalī ga.iiñ use har baar chhoḌ kar
lāzim nahīñ ki 'aql kī har baat Thiik ho
ab maan lo jo dil kahe takrār chhoḌ kar
is ke sivā ab aur to pahchān kuchh nahīñ
jā.ūñ kahāñ maiñ apnā ye kirdār chhoḌ kar
shāyad isī malāl meñ vo dhuup Dhal ga.ī
saaya chalā gayā kahīñ dīvār chhoḌ kar
ab vādī-e-ḳhayāl meñ tanhā khaḌā huuñ maiñ
jaane kahāñ ga.e mujhe ash'ār chhoḌ kar
sachchaiyon ko bar-sar-e-paikar chhoD kar
hum aa gae hain dasht mein ghar-bar chhoD kar
aankhon mein jagte hue KHwabon ka kya karen
ninden chali gain hamein bedar chhoD kar
hum be-KHudi mein kaun si manzil pe aa gae
Thahra hua hai waqt bhi raftar chhoD kar
sahil kise batae yahan apne dil ka dard
maujen chali gain use har bar chhoD kar
lazim nahin ki 'aql ki har baat Thik ho
ab man lo jo dil kahe takrar chhoD kar
is ke siwa ab aur to pahchan kuchh nahin
jaun kahan main apna ye kirdar chhoD kar
shayad isi malal mein wo dhup Dhal gai
saya chala gaya kahin diwar chhoD kar
ab wadi-e-KHayal mein tanha khaDa hun main
jaane kahan gae mujhe ash'ar chhoD kar
- Book : Bechehragi (Pg. 73)
- Author : bharat bhushan pant
- Publication : Suman prakashan Alambagh,Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.