sachchaiyon se usko bhi inkar ho gaya
sachchā.iyoñ se us ko bhī inkār ho gayā
ik shaḳhs aaj aur gunahgār ho gayā
vo chāra-sāz jis pe zamāne ko naaz thā
mujh ko udaas dekh ke bīmār ho gayā
qātil ne ek shaḳhs ko yuuñ qatl kar diyā
pahchānñā bhī laash ko dushvār ho gayā
jāneñ fasād meñ to bahut sī ga.iiñ magar
kyoñ ek naam surḳhi-e-aḳhbār ho gayā
patthar samajh rahe the asar jis ko log vo
tarshā gayā to raunaq-e-bāzār ho gayā
sachchaiyon se us ko bhi inkar ho gaya
ek shaKHs aaj aur gunahgar ho gaya
wo chaara-saz jis pe zamane ko naz tha
mujh ko udas dekh ke bimar ho gaya
qatil ne ek shaKHs ko yun qatl kar diya
pahchanna bhi lash ko dushwar ho gaya
jaanen fasad mein to bahut si gain magar
kyon ek nam surKHi-e-aKHbar ho gaya
patthar samajh rahe the asar jis ko log wo
tarsha gaya to raunaq-e-bazar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.