sachchi baaten kyon karte ho
sachchī bāteñ kyoñ karte ho
is duniyā meñ kyoñ baste ho
apnī qīmat tolo molo
āḳhir itne kyoñ saste ho
kaisā sadma tum par guzrā
gum-sum gum-sum kyoñ rahte ho
ro.e pahle ab hañste ho
kuchh to bolo kyoñ hañste ho
rasta kis kā kab tak taknā
tanhā jaao kyoñ Darte ho
apne dukh kī lapTeñ kam haiñ
ġhair ke dukh meñ kyoñ balte ho
bujhnā Thahrā bujh bhī jaao
Tim-Tim Tim-Tim kyoñ jalte ho
tum to 'rizvāñ' āhan-gar the
pighle kyūñkar kyoñ bahte ho
sachchi baaten kyon karte ho
is duniya mein kyon baste ho
apni qimat tolo molo
aaKHir itne kyon saste ho
kaisa sadma tum par guzra
gum-sum gum-sum kyon rahte ho
roe pahle ab hanste ho
kuchh to bolo kyon hanste ho
rasta kis ka kab tak takna
tanha jao kyon Darte ho
apne dukh ki lapTen kam hain
ghair ke dukh mein kyon balte ho
bujhna Thahra bujh bhi jao
Tim-Tim Tim-Tim kyon jalte ho
tum to 'rizwan' aahan-gar the
pighle kyunkar kyon bahte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.