sachchi jhuTi baat milai dil ka haal sunane mein
sachchī jhūTī baat milā.ī dil kā haal sunāne meñ
ye hushyārī kaise aa.ī mujh jaise dīvāne meñ
us ke ek chale jaane se ghar kī kaisī hālat hai
ya.anī kuchh bhī farq nahīñ hai ghar meñ aur vīrāne meñ
us ke lahje meñ talḳhī thī kāran kyā thā talḳhī kā
aañkh meñ saarī raat kaTegī ye gutthī suljhāne meñ
saath kisī kā kaun yahāñ par saarī umr nibhātā hai
achchhī-ḳhāsī dushvārī hai dil ko ye samjhāne meñ
jaane kaisī kaisī bāteñ zehn meñ aane lagtī haiñ
jab bhī der use hotī hai merā phone uThāne meñ
sachchi jhuTi baat milai dil ka haal sunane mein
ye hushyari kaise aai mujh jaise diwane mein
us ke ek chale jaane se ghar ki kaisi haalat hai
yani kuchh bhi farq nahin hai ghar mein aur virane mein
us ke lahje mein talKHi thi karan kya tha talKHi ka
aankh mein sari raat kaTegi ye gutthi suljhane mein
sath kisi ka kaun yahan par sari umr nibhata hai
achchhi-KHasi dushwari hai dil ko ye samjhane mein
jaane kaisi kaisi baaten zehn mein aane lagti hain
jab bhi der use hoti hai mera phone uThane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.