sada aansu bahane se kisi ko kuchh nahin milta
sadā aañsū bahāne se kisī ko kuchh nahīñ miltā
ki rone giḌgiḌāne se kisī ko kuchh nahīñ miltā
kisī kā kuchh nahīñ jaatā kisī se hans ke milne se
ajī yuuñ muñh banāne se kisī ko kuchh nahīñ miltā
agar ġhairat hai zinda to vasā.il kījiye paidā
hamesha dum hilāne se kisī ko kuchh nahīñ miltā
na ho tadbīr to taqdīr bhī haamī nahīñ hotī
ḳhudā ke kār-ḳhāne se kisī ko kuchh nahīñ miltā
daraḳhtoñ par inheñ 'rāġhib' hamesha chahchahāne do
parindoñ ko uḌāne se kisī ko kuchh nahīñ miltā
sada aansu bahane se kisi ko kuchh nahin milta
ki rone giDgiDane se kisi ko kuchh nahin milta
kisi ka kuchh nahin jata kisi se hans ke milne se
aji yun munh banane se kisi ko kuchh nahin milta
agar ghairat hai zinda to wasail kijiye paida
hamesha dum hilane se kisi ko kuchh nahin milta
na ho tadbir to taqdir bhi hami nahin hoti
KHuda ke kar-KHane se kisi ko kuchh nahin milta
daraKHton par inhen 'raghib' hamesha chahchahane do
parindon ko uDane se kisi ko kuchh nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.