sada baam-e-wafa se har kisi ko di gai lekin
sadā bām-e-vafā se har kisī ko dī ga.ī lekin
kisī meñ bhī yahāñ zauq-e-vafādārī nahīñ shāyad
ḳhulūs-o-mehr ke sho'loñ meñ jo tabdīl ho jaa.e
tumhāre dil meñ chāhat kī vo chingārī nahīñ shāyad
musalsal gāmzan hai apnī dhun meñ jānib-e-manzil
badan kā bojh merī ruuh par bhārī nahīñ shāyad
ġham-e-ulfat ko duniyā se chhupā kar maiñ kahāñ rakkhūñ
mire dil ke makāñ meñ koī almārī nahīñ shāyad
jahāñ par tum khaḌe ho vo ḳhud-ārā.ī kā parbat hai
vahāñ se nīche aane meñ to dushvārī nahīñ shāyad
mujhe ye baat kahne meñ jhijhak hotī nahīñ kuchh bhī
hamārā dabdaba duniyā pe ab taarī nahīñ shāyad
zamāna us ke rone kī adākārī kā qaa.il hai
mirā dil kah rahā hai ye adākārī nahīñ shāyad
tumhāre chhūne se dhaḌkan hamārī tez hotī hai
hameñ ai 'shād' lekin dil kī bīmārī nahīñ shāyad
sada baam-e-wafa se har kisi ko di gai lekin
kisi mein bhi yahan zauq-e-wafadari nahin shayad
KHulus-o-mehr ke sho'lon mein jo tabdil ho jae
tumhaare dil mein chahat ki wo chingari nahin shayad
musalsal gamzan hai apni dhun mein jaanib-e-manzil
badan ka bojh meri ruh par bhaari nahin shayad
gham-e-ulfat ko duniya se chhupa kar main kahan rakkhun
mere dil ke makan mein koi almari nahin shayad
jahan par tum khaDe ho wo KHud-arai ka parbat hai
wahan se niche aane mein to dushwari nahin shayad
mujhe ye baat kahne mein jhijhak hoti nahin kuchh bhi
hamara dabdaba duniya pe ab tari nahin shayad
zamana us ke rone ki adakari ka qail hai
mera dil kah raha hai ye adakari nahin shayad
tumhaare chhune se dhaDkan hamari tez hoti hai
hamein ai 'shad' lekin dil ki bimari nahin shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.