sada-bahaar jo the dard wo purane gae
sadā-bahār jo the dard vo purāne ga.e
hamāre saath meñ mausam bhī sab suhāne ga.e
tujhe ḳhabar nahīñ tāmīr-e-nau ke pāgal-pan
chhateñ girīñ to parindoñ ke āshiyāne ga.e
jahāñ sarāboñ kā ik mauj-mauj sūraj thā
vahīñ bhaḌaktī huī pyaas sab bujhāne ga.e
bikharne do kisī āvāra yaad kī ḳhushbū
ki bhuul jaane ke bhī ab use zamāne ga.e
us ek naqsh-e-gurezāñ pe dastaras kaisī
havā jo rūThī to rastoñ meñ ham manāne ga.e
vo ḳhud bhī TuuT gayā lams-e-dīda-var se 'aah'
mizāj phuul kā patthar se āzmāne ga.e
sada-bahaar jo the dard wo purane gae
hamare sath mein mausam bhi sab suhane gae
tujhe KHabar nahin tamir-e-nau ke pagal-pan
chhaten girin to parindon ke aashiyane gae
jahan sarabon ka ek mauj-mauj suraj tha
wahin bhaDakti hui pyas sab bujhane gae
bikharne do kisi aawara yaad ki KHushbu
ki bhul jaane ke bhi ab use zamane gae
us ek naqsh-e-gurezan pe dastaras kaisi
hawa jo ruThi to raston mein hum manane gae
wo KHud bhi TuT gaya lams-e-dida-war se 'ah'
mizaj phul ka patthar se aazmane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.