sada-e-dil hi ko aawaza-e-jahan na kaho
sadā-e-dil hī ko āvāza-e-jahāñ na kaho
ḳhud apnī hadd-e-nazar hī ko āsmāñ na kaho
har ek zarre ko hañstā diyā banānā hai
falak ke chāñd-sitāroñ kī dāstāñ na kaho
na laao yā to zabāñ par hadīs-e-nākāmī
nahīñ to apnī tamannā ko phir javāñ na kaho
ye apnā ghar hai chalo is pe tasfiya kar leñ
qafas kahūñ na ise maiñ tum āshiyāñ na kaho
na ittifāq-e-amal hai na ek samt-e-qadam
abhī to bhiiḌ hai ye is ko kārvāñ na kaho
ḳhasūmatoñ meñ ḳhirad kī jahāñ sune na sune
mire surūd-e-mohabbat ko rā.egāñ na kaho
jahāñ har ek ko sajde kā haq nahīñ hāsil
use ḳhudā-e-mohabbat kā āstāñ na kaho
ujaḌ bhī jaa.e nasheman to phir nasheman hai
qafas meñ phuul bhī rakh deñ to āshiyāñ na kaho
zamāna mujh pe nahīñ tum pe ḳhanda-zan hogā
tum aaj dostoñ 'mullā' ko nukta-dāñ na kaho
sada-e-dil hi ko aawaza-e-jahan na kaho
KHud apni hadd-e-nazar hi ko aasman na kaho
har ek zarre ko hansta diya banana hai
falak ke chand-sitaron ki dastan na kaho
na lao ya to zaban par hadis-e-nakaami
nahin to apni tamanna ko phir jawan na kaho
ye apna ghar hai chalo is pe tasfiya kar len
qafas kahun na ise main tum aashiyan na kaho
na ittifaq-e-amal hai na ek samt-e-qadam
abhi to bhiD hai ye is ko karwan na kaho
KHasumaton mein KHirad ki jahan sune na sune
mere surud-e-mohabbat ko raegan na kaho
jahan har ek ko sajde ka haq nahin hasil
use KHuda-e-mohabbat ka aastan na kaho
ujaD bhi jae nasheman to phir nasheman hai
qafas mein phul bhi rakh den to aashiyan na kaho
zamana mujh pe nahin tum pe KHanda-zan hoga
tum aaj doston 'mulla' ko nukta-dan na kaho
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 673)
- Author : Khaliq Anjum
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.