sada-e-mehr-o-mohabbat lagane aae hain
sadā-e-mehr-o-mohabbat lagāne aa.e haiñ
jo baar uTh nahīñ saktā uThāne aa.e haiñ
ye kaisā aib hai mere nagar ke logoñ meñ
diye jalā na sake to bujhāne aa.e haiñ
jo be-hunar haiñ zarā un kā hausla dekho
vo dūsroñ ke hunar āzmāne aa.e haiñ
ajiib log haiñ pindār bechne ke liye
ḳhud apne aap kī qīmat lagāne aa.e haiñ
munāfiqat ke usūloñ pe ham nahīñ zinda
jo aap sun nahīñ sakte sunāne aa.e haiñ
chalī hai bād-e-muḳhālif to ġham nahīñ hai ki ham
charāġh apne lahū se jalāne aa.e haiñ
sada-e-mehr-o-mohabbat lagane aae hain
jo bar uTh nahin sakta uThane aae hain
ye kaisa aib hai mere nagar ke logon mein
diye jala na sake to bujhane aae hain
jo be-hunar hain zara un ka hausla dekho
wo dusron ke hunar aazmane aae hain
ajib log hain pindar bechne ke liye
KHud apne aap ki qimat lagane aae hain
munafiqat ke usulon pe hum nahin zinda
jo aap sun nahin sakte sunane aae hain
chali hai baad-e-muKHalif to gham nahin hai ki hum
charagh apne lahu se jalane aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.