Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sada-e-qais shauq-e-dasht-paimai nami-danam

Asif Anjum

sada-e-qais shauq-e-dasht-paimai nami-danam

Asif Anjum

MORE BYAsif Anjum

    sadā-e-qais shauq-e-dasht-paimā.ī namī-dānam

    na jaane kaun kal khīñch ke laa.ī namī-dānam

    faqīroñ ko mire shāhānā ḳhil.at se navāzā hai

    aqīdat hai rañg-e-zāt-ārā.ī namī-dānam

    khaḌe haiñ rāste meñ haath bāñdhe peḌ saf-basta

    havā kyuuñ chāñdnī ke dosh par aa.ī namī-dānam

    vajūd-e-ḳhāk se lipTe rahe pahlū ke añgāre

    badan aag jaane kaise bujh paa.ī namī-dānam

    darūn-e-soz-e-rindāna darūn-e-āh-e-mastāna

    ba-gosh-e-yār tak kaisī sadā aa.ī namī-dānam

    sada-e-qais shauq-e-dasht-paimai nami-danam

    na jaane kaun si kal khinch ke lai nami-danam

    faqiron ko mere shahana KHilat se nawaza hai

    aqidat hai ya rang-e-zat-arai nami-danam

    khaDe hain raste mein hath bandhe peD saf-basta

    hawa kyun chandni ke dosh par aai nami-danam

    wajud-e-KHak se lipTe rahe pahlu ke angare

    badan ki aag jaane kaise bujh pai nami-danam

    darun-e-soz-e-rindana darun-e-ah-e-mastana

    ba-gosh-e-yar tak kaisi sada aai nami-danam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now