sada-e-sang daman-gir thi pal pal bahut roya
sadā-e-sañg dāman-gīr thī pal pal bahut royā
ghanī ābādiyoñ se lauT kar pāgal bahut royā
mire khetoñ ko sahrā kar gayā bastī ko vīrāna
magar dariyā pe jab pahuñchā to ye bādal bahut royā
mire kamre kī tanhā.ī meñ gahrī tīrgī phailī
kisī kī aañkh kā lagtā hai phir kājal bahut royā
vo jab bhī rizq ke sūraj se jal bhun kar huā vāpas
to us kī būḌhī maañ kā be-qarār āñchal bahut royā
phir ab ke us kī sakhiyoñ ke ghar āñgan phuul khil uTThe
phir ab ke saal us kī god kā chāval bahut royā
faqat ye baat ki ābādiyoñ meñ sar uchhalte haiñ
darinde ban ga.e insān to jangal bahut royā
hamāre ahd kā gautam bhī qātil-dost hai 'anvar'
bas itnī sī ḳhabar par sāya-e-pīpal bahut royā
sada-e-sang daman-gir thi pal pal bahut roya
ghani aabaadiyon se lauT kar pagal bahut roya
mere kheton ko sahra kar gaya basti ko virana
magar dariya pe jab pahuncha to ye baadal bahut roya
mere kamre ki tanhai mein gahri tirgi phaili
kisi ki aankh ka lagta hai phir kajal bahut roya
wo jab bhi rizq ke suraj se jal bhun kar hua wapas
to us ki buDhi man ka be-qarar aanchal bahut roya
phir ab ke us ki sakhiyon ke ghar aangan phul khil uTThe
phir ab ke sal us ki god ka chawal bahut roya
faqat ye baat ki aabaadiyon mein sar uchhalte hain
darinde ban gae insan to jangal bahut roya
hamare ahd ka gautam bhi qatil-dost hai 'anwar'
bas itni si KHabar par saya-e-pipal bahut roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.