sada-e-shauq sukut-e-labi se sharminda
sada-e-shauq sukut-e-labi se sharminda
Iftikhar Shahid Abu Saad
MORE BYIftikhar Shahid Abu Saad
sadā-e-shauq sukūt-e-labī se sharminda
darūñ kā shor mirī ḳhāmushī se sharminda
kaho to aaj zarā sā sañvār luuñ ḳhud ko
ki aa.ine haiñ mirī sādgī se sharminda
ajiib dohrī 'izzat kā sāmnā hai inheñ
koī kisī se to koī kisī se sharminda
hamāre haath jo dastak na de sake dar par
hamāre haath rahe us kajī se sharminda
ham apnī ḳhaak jahāñ meñ uḌaa.e phirte haiñ
ai shahr-e-yār tumhārī galī se sharminda
ham is sadī meñ bhī manzil se āshnā na hue
ye aur baat hai pichhlī sadī se sharminda
hai mere paas ye luknat-zada zabāñ 'shāhid'
ai ḳhush-kalām tirī naġhmagī se sharminda
sada-e-shauq sukut-e-labi se sharminda
darun ka shor meri KHamushi se sharminda
kaho to aaj zara sa sanwar lun KHud ko
ki aaine hain meri sadgi se sharminda
ajib dohri 'izzat ka samna hai inhen
koi kisi se to koi kisi se sharminda
hamare hath jo dastak na de sake dar par
hamare hath rahe us kaji se sharminda
hum apni KHak jahan mein uDae phirte hain
ai shahr-e-yar tumhaari gali se sharminda
hum is sadi mein bhi manzil se aashna na hue
ye aur baat hai pichhli sadi se sharminda
hai mere pas ye luknat-zada zaban 'shahid'
ai KHush-kalam teri naghmagi se sharminda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.