sada hai is aah-o-chashm-e-tar se falak pe bijli zamin pe baran
sada hai is aah-o-chashm-e-tar se falak pe bijli zamin pe baran
Shah Naseer
MORE BYShah Naseer
sadā hai is āh-o-chashm-e-tar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
nikal ke dekho tum apne ghar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
vo shola-rū hai savār-e-tausan aur us kā tausan araq-fishāñ hai
ajab hai ik sair dopahar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
hañse hai koThe pe merā yūsuf maiñ zer-e-dīvār ro rahā huuñ
azīzo dekho mirī nazar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
patañg kyūñkar na hove hairāñ ki sham.a shab ko dikhā rahī hai
ba-chashm-e-giryāñ o tāj-e-zar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
nahā ke afshāñ chuno jabīñ par nichoḌo bāloñ ko ba.ad is ke
dikhāo āshiq ko is hunar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
kahāñ hai juuñ sho.ala shāḳh par gul kidhar hai fasl-e-bahār shabnam
tire hai e.ajāz-e-Turfa-tar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
karo na dariyā pe mai-kashī tum udhar ko aao to maiñ dikhā.ūñ
sarishk-e-har-nāla-o-jigar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
kidhar ko jā.ūñ nikal ke yā-rab ki garm-o-sard-e-zamāna mujh ko
dikhā.e hai shaam tak sahar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
vo teġh khīñche hue hai sar par maiñ sar jhukā.e huuñ ashk-e-rezāñ
dikhā.ūñ ai dil tujhe kidhar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
ġhazab se chīñ-bar-jabīñ dikhā.e badan se Tapke bhī hai pasīna
ayaañ hai yaaro na.e hunar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
'nasīr' likkhī hai kyā ġhazal ye ki dil taḌaptā hai sun ke jis ko
bañdhe hai yuuñ kab kisī bashar se falak pe bijlī zamīñ pe bārāñ
sada hai is aah-o-chashm-e-tar se falak pe bijli zamin pe baran
nikal ke dekho tum apne ghar se falak pe bijli zamin pe baran
wo shola-ru hai sawar-e-tausan aur us ka tausan araq-fishan hai
ajab hai ek sair dopahar se falak pe bijli zamin pe baran
hanse hai koThe pe mera yusuf main zer-e-diwar ro raha hun
azizo dekho meri nazar se falak pe bijli zamin pe baran
patang kyunkar na howe hairan ki shama shab ko dikha rahi hai
ba-chashm-e-giryan o taj-e-zar se falak pe bijli zamin pe baran
naha ke afshan chuno jabin par nichoDo baalon ko baad is ke
dikhao aashiq ko is hunar se falak pe bijli zamin pe baran
kahan hai jun shoala shaKH par gul kidhar hai fasl-e-bahaar shabnam
tere hai eajaz-e-Turfa-tar se falak pe bijli zamin pe baran
karo na dariya pe mai-kashi tum udhar ko aao to main dikhaun
sarishk-e-har-nala-o-jigar se falak pe bijli zamin pe baran
kidhar ko jaun nikal ke ya-rab ki garm-o-sard-e-zamana mujh ko
dikhae hai sham tak sahar se falak pe bijli zamin pe baran
wo tegh khinche hue hai sar par main sar jhukae hun ashk-e-rezan
dikhaun ai dil tujhe kidhar se falak pe bijli zamin pe baran
ghazab se chin-bar-jabin dikhae badan se Tapke bhi hai pasina
ayan hai yaro nae hunar se falak pe bijli zamin pe baran
'nasir' likkhi hai kya ghazal ye ki dil taDapta hai sun ke jis ko
bandhe hai yun kab kisi bashar se falak pe bijli zamin pe baran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.