sada ka saut ka iqrar hona baqi hai
sadā kā saut kā iqrār honā baaqī hai
abhī to dard kā iz.hār honā baaqī hai
laboñ ke lams se vāzeh hai dil kī sargoshī
kahūñ ye kaise ki bedār honā baaqī hai
khaḌe ho shor-e-talātum se Dar ke sāhil par
abhī to bahr ke us paar honā baaqī hai
abhī to phailī hai kuchh malgajī sī dhuup yahāñ
kiran meñ aur bhī kuchh dhaar honā baaqī hai
abhī to zaḳhmoñ kī rūdād sun rahe haiñ ham
abhī hamārā sharar-bār honā baaqī hai
kahīñ to nīchī kahīñ ūñchī ho ga.ī hai anā
ye maslahat ko girāñ-bār honā baaqī hai
chubhan ke lafz kā mafhūm hī badal do 'asar'
ġhamoñ kā dil pe to ambār honā baaqī hai
sada ka saut ka iqrar hona baqi hai
abhi to dard ka izhaar hona baqi hai
labon ke lams se wazeh hai dil ki sargoshi
kahun ye kaise ki bedar hona baqi hai
khaDe ho shor-e-talatum se Dar ke sahil par
abhi to bahr ke us par hona baqi hai
abhi to phaili hai kuchh malgaji si dhup yahan
kiran mein aur bhi kuchh dhaar hona baqi hai
abhi to zaKHmon ki rudad sun rahe hain hum
abhi hamara sharar-bar hona baqi hai
kahin to nichi kahin unchi ho gai hai ana
ye maslahat ko giran-bar hona baqi hai
chubhan ke lafz ka mafhum hi badal do 'asar'
ghamon ka dil pe to ambar hona baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.